Arshe Haq Hai Masnade Rif’at Rasoolullah Ki
Dekhni Hai Hashr Mein Izzat Rasoolullah Ki
Qabr Mein Lehraayenge Ta Hashr Chashme Noor Ke
Jalwa Farma Hogi Jab Tal’at Rasoolullah Ki
Kaafiron Par Taiga Waala Se Giri Barqe Gazab
Abr Aasaa Chaa Gayi Haibat Rasoolullah Ki
‘Laa-Wa-Rabbil-Arsh’ Jis Ko Jo Mila Unse Mila
Bat-ti Hai Kaunain Mein Ne’mat Rasoolullah Ki
Woh Jahannam Mein Gaya Jo Unse Mustagnee Huwa
Hai Khaleelullah Ko Haajat Rasoolullah Ki
Suraj Ulte Paau Palte Chaand Ishaare Se Ho Chaak
Andhe Najdi Dekh Le Qudrat Rasoolullah Ki
Tujh Se Aur Jannat Se Kya Matlab Wahaabi Door Ho
Hum Rasoolullah Ke Jannat Rasoolullah Ki
Zikr Roke Fazl Kaate Naqs Ka Jooyaa(n) Rahe
Phir Kahe Mardak Ki Hoon Ummat Rasoolullah Ki
Najdi Usne Tujh Ko Mohlat Dee Ki Is Aalam Mein Hai
Kaafiro Murtad Pe Bhi Rehmat Rasoolullah Ki
Hum Bhikaari Woh Kareem Unka Khuda Un Se Fuzoo(n)
Aur Na Kehna Nahi Aadat Rasoolullah Ki
Ahle Sunnat Ka Hai Beda Paar Ashaabe Huzoor
Najm Hain Aur Naau Hai Itrat Rasoolullah Ki
Khaak Ho Kar Ishq Mein Aaraam Se Sona Mila
Jaan Ki Ikseer Hai Ulfat Rasoolullah Ki
Toot Jaayenge Gunahgaaro Ke Fauran Kaido Band
Hashr Ko Khul Jaayegi Taaqat Rasoolullah Ki
Ya Rab Is Saa’at Mein Dhul Jaaye(n) Siyah Kaaro(n) Ke Jurm
Josh Mein Aa Jaaye Ab Rehmat Raoolullah Ki
Hai Gule Baaghe Qudus Rukhsaare Zaibaaye Huzoor
Sarve Gulzaare Qidam Qaamat Rasoolullah Ki
Aye Raza Khud Saahibe Qur’an Hai Maddaahe Huzoor
Tujhse Kab Mumkin Hai Phir Midhat Rasoolullah Ki