Zameeno Zamaa Tumhare liye Naat Lyrics

Zameeno zamaa(n) tumhare liye makeeno makaa(n) tumhare liye,
Chuneeno chunaa(n) tumhare liye bane do jahaa(n) tumhare liye

Dahan mein zabaa(n) tumhare liye badan mein hai jaa(n) tumhare liye,
Hum aaye yaha(n) tumhare liye uthe(n) bhi waha(n) tumhare liye

Fariste khidam rasoole hisham tamaame umam ghulame karam,
Wujoodo ‘adam hudooso qidam jahaa(n) mein ayaa(n) tumhare liye

Kaleemo najee maseeho safee khaleelo razee rasoolo nabi,
Ateeqo wasee ghaniyyo ali sana ki zabaa(n) tumhare liye

Isaalate kul imaamate kul siyaadate kul imaarate kul,
Huqoomate kul wilaayate kul Khuda ke yaha(n) tumhare liye

Tumhare chamak tumhari damak tumhari jhalak tumhari mahak,
Zameeno falak samaa ko samak mein sikka nishaa(n) tumhare liye

Woh kanze nihaa(n) yeh noore fashaa(n) woh kun se ayaa(n) yeh bazme faqaa(n),
Yeh har tano jaa(n) ye baaghe jinaa(n) yeh saara samaa(n) tumhare liye

Zuhoore nihaa(n) qayaame jahaa(n) rukuye mihaa(n) sujoode shaha(n),
Niyaaze(n) yaha(n) namaaze(n) waha(n) yeh kis liye ha(n) tuhare liye

Yeh shamso qamar yeh shaamo sahar yeh bargo shajar yeh baagho samar,
Yeh taigo sipar yeh taajo kamar yeh hukme rawaa(n) tumhare liye

Yeh faiz diye woh jood kiye ki naam liye zamaana jiye,
Jahaa(n) ne liye tumhare diye yeh ikramiya(n) tumhare liye

Sahabe karam rawana kiye ki aabe ni’am zamaana piye,
Jo rakhte the hum woh chaak siye yeh sitre badaa(n) tumhare liye

Sana ka nishaa(n) woh noor fashaa(n) ki mehr washaa(n) ba-aa(n) hamaa sha(n),
Basa yeh kasha(n) mawakibe sha(n) yeh naamo nishaa(n) tumhare liye

Ataaye arab jilaaye karab fuyooze ajab bigair talab,
Yeh rehmate Rab hai kiske sabab ba Rabbe jahaa(n) tumhare liye

Zunoob fana ‘uyoob haba quloob safa khutoob rawa,
Yeh khoob ata kuroob zada paye dilo jaa(n) tumhare liye

Na jinno bashar ki aatho(n) pahar malaaeka dar pe basta kamar,
Na jubba wa sar ki qalbo jigar hain sajda kunaa(n) tumhare liye

Na roohe amee(n) na arshe baree(n) na lauhe mubee(n) koi bji kahee(n),
Khabar hi nahi jo ramze(n) khuli(n) azal ki nihaa(n) tumhare liye

Jinaa(n) mein chaman chaman mein saman saman mein phaban phaban mein dulhan,
Sazaaye mihan pe aise minan ye amno amaa(n) tumhare liye

Kamaale mihaa(n) jalaale shahaa(n) jamaale hisaa(n) mein tum ho ayaa(n),
Ki saare jahaa(n) mein roze faqaa(n) zil aayina sa(n) tumhare liye

Yeh toor kuja sipahr to kya ki arshe ulaa bhi door raha,
Jihat se wara wisaal mila yeh rif’ate shaa(n) tumhare liye

Khaleelo Najee maseeho safee sabhi se kahi kahi(n) bhi bani,
Yeh be khabari ke khalq firi kahaa(n) se kahaa(n) tumhare liye

Bafaure sadaa samaa(n) yeh bandha yeh sidra utha woh arsh jhuka,
Sufoofe samaa ne sajda kiya hui jo azaa(n) tumhare liye

Yeh marhamate(n) ki kachchi mate(n) na chhode(n) late(n) na apni gate(n),
Kusoor kare(n) aur in se bhare(n) kusoore jinaa(n) tumhare liye

Fana ba-darat baqa ba-darat zi har do jihat ba garde sarat,
Hai markaziyyat tumhari sifat ki dono(n) kamaa(n) tumhare liye

Ishaare se chaand cheer diya chupe huwe khur ko fer liya,
Gaye hue din ko asr kiya yeh taabo tawaa(n) tumhare liye

Saba woh chale ki baagh phale woh phool khile ki din ho(n) bhale,
Liwaa ke tale sana mein khule Raza ki zabaa(n) tumhare liye