Shehre Nabi teri galiyon ka naksha hi kuch aisa hai
Khuld bhi hai Mushtake Ziyaarat Rauza hi kuch aisa hai
Dil ko suqoon de aankh ko thandak Rauza hi kuch aisa hai
Farshe Zamee(n) par Arshe Bari ho lagta hi kuch aisa hai
Unke dar par aisa jhuka dil uthne ka kuch hosh nahi
Ahle shariat hai sakte me sajda hi kuch aisa hai
Sibte Nabi hai pushte Nabi par aur Sajde ki haalat hai
Aaqa ne tasbeeh badha di beta hi kuch aisa hai
Rab ke siwaa dekha na kisi ne farshi ho ya arshi ho
Unke haqeeqat ke chehre par parda hi kuch aisa hai
Taaj ko apne qaasa bana kar haazir hai Shahane Jahaan
Unki ata hi kuch aisi hai sadqa hi kuch aisa hai
Kham hai yaha Jamsheed o Sikandar is me kya hairaani hai
Unke ghulamon ka aye Akhtar rutba hi kuch aisa hai