Hota agar zameen par saaya Rasool ka
Phir paau ummati kahan rakhta Rasool ka
Phir paau ummati kahan rakhta Rasool ka
Karte hai ahteraam janaaze ka isliye
Woh ja raha hai dekhne chehra Rasool ka
Padhte hai yoon to ghair bhi kalma Rasool ka
Jannat use milegi jo hoga Rasool ka
Duniya ko dekhna bhi gawaara nahi kiya
Jab tak Ali ne dekha na chehra Rasool ka
Sher e Khuda na banta to banta bhi aur kya
Bachpan hi se jo pala hua tha Rasool ka
Bachpan se meri maa ne mujh ko sabaq diya hai
Maanga karo dua me waseela Rasool ka
Naara Raza ka lagta hai dunya mein isliye
Ahmed Raza ke lab pe tha Naara Rasool ka.