Baag e Jannat me nirali chaman aarai hai
Kya Madine pe fida hoke bahar aayi hai
Unke gesu nahi rehmat ki ghata chaayi hai
Unke abru nahi do Qiblo ki yakjayi hai
Sarewala unhe rehmat ki ghata laayi hai
Haal bigda hai toh beemaar ki ban aayi hai
Jiske haatho ke banaye huye hai husno jamal
Aye haseen teri adaa usko pasand aayi hai
Tere jalwo me ye aalam hai ki Chashme Aalam
Taab deedar nahi fir bhi tamashaayi hai
Jab teri yaad me duniya se gaya hai koi
Jaan lene ko dulhan ban ke kaza aayi hai
Darde dil kisko sunao mai tumhare hote
Bekaso ki isi Sarkar me sunwayi hai
Chashme be Khwaab ke sadqe me hai bedaar naseeb
Aap jaago toh hume chain ki neend aayi hai
Na ummido tumhe muzda ki khuda rehmat
Unhe mehshar me tumhare hi liye laayi hai
Aye Hasan Husne jahaan taab ke sadqe jau
Zarre zarre se aaya Jalwa e zebayi hai