Itna Kaafi Hai Zindagi Ke Liye
Rakh Le Aaqa Jo Naukri Ke Liye
Rakh Le Aaqa Jo Naukri Ke Liye
Tak Ke Unko Ayyub Ke Ghar Mein
Mahel Tarse Hain Jhonpdi Ke Liye
Aa Gaye Qabr Mein Bhi Chhurwaane
Dard Kitna Hai Ummati Ke Liye
Lambe Sajde Kiye Nabi Ne Kaha
Aye Nawaase Teri Khushi Ke Liye
Chaand Taare Bhi Unke Qadmon Mein
Roz Aate Hain Roshni Ke Liye
Doobe Suraj Ko Phirse Paltaaya
Apne Pyare Maula Ali Ke Liye
Khud Darakht Bhi Jadein Ukhade
Aate Hain Paas Unke Haazri Ke Liye
Mehfile Amaad Saji Rahe Ta Umar
Iltija Yehi Hai Zindagi Ke Liye
Aye Kash Aaye Woh Maqaam Bhi
Jiye Bas Ham Aaqa Ki Aashiqui Ke Liye
Deed Maangi Hai Unki Aye Haakim
Maine Bas Waqte Aakhri Ke Liye