Nahi Woh Kaif Zamaane Ke Aur Kaamon Mein

Nahi Woh Kaif Zamaane Ke Aur Kaamon Mein
Jo Kaif Paaya Duroodon Mein Aur Salaamon Mein

Azal Se Ummate Saari Hai Unke Zere Nagee
Nabi Bhi Saare Hai Sarkaar Ke Ghulamon Mein

Zamee(n) Pe Naam Muhammad To Arsh Par Ahmed
Yahi To Naam Hasee(n) Tar Hai Saare Naamon Mein

Mili Ho Jis Ko Muhammad Ke Naam Se Zeenat
Wohi Kalaam Hai Aala Tareen Kalaamon Mein

Huzoor Rehem Ke Sunni Bhi Kharji Ho Kar
Mile Hai Jaate Tasalsul Se Be lagaamon Mein

Ujala subha Ko Deta Hai Un ka Rukh Saaim
Unhi Ki Zulf Ki Rangat Ghuli Hai Shaamon Mein

Siwaye Aaho Faga Ke To Kuch Nahi Hota
Mere Salaamon Munajaat Mein Payaamon Mein