Shahe Kaunain Ke Nayib e Awwaleen

Shahe Kaunain Ke Nayib e Awwaleen,
Nazish e Aasmaan, Iftekhar e Zameen,
Jiske Qadmon Pe Kham Azmaton Ki Jabeen,
Asdaqus-Saadiqin, Sayyed ul Muttaqin,
Chashm O Gosh e Wizarat Pe Laakhon Salaam.

Zindagi Bhar Shahe Dee’n Ka Aisa Moin,
Har Qadam Hamsafar, Har Ghadi Ham Nashee’n,
Jaan e Ishq O Adab, Ruhe Azm O Yaqee’n,
Asdaqus-Saadiqin, Sayyed ul Muttaqin,
Chashm O Gosh e Wizarat Pe Laakhon Salaam.

Pardaye Hifz e Naamoos e Khairul Wara,
Shishaye Sham’e Shane Habib e Khuda,
Jisko Rab Ne Kaha “Do Ka Woh Dusra”,
Khaas Us Sabiq e Saire Qurb e Khuda,
Auhade Kaamiliyyat Pe Lakhon Salaam.

Khuld Mein Dakhile Ka Sanad Yafta,
Khoon Qureshi Nasab, Zaat Najm e Huda,
Saufa Yarda Hai Jiski Sakha Ka Sila,
Khaas Us Sabiq e Saire Qurbe Khuda,
Auhade Kamiliyyat Pe Lakhon Salaam.

Laakh Uth-ta Rahe rafz Ka Shor O Ghul
Uski Sham’e Kamalaat Hogi Na Gul,
Naam Se Jiske Daaghe Alam Jaaye Dhul,
Yaani Us Afzalul Khalq Ba’dar-Rusul
Saani Asnain e Hijrat Pe Lakhon Salaam

Khatm Jis Par Wafaon Ke Jumla Subul,
Peshwaaye Muhibban e Maulaye Kul,
Jis Se Taaza Hai Baaghe Sadaaqat Ke Gul,
Yaani Us Afzalul Khalq Ba’dar-Rusul
Saani Asnain e Hijrat Pe Lakhon Salaam.

Keh Ke bis-sidq Rab Ne Wa saddaq Kaha,
Taaza Hai Walladheena Ma’a Ki Ziya,
Woh Rifaaqat Mein Hai Ta Ba Roze Jaza,
Saaya e Mustafa, Maaya e Istafa,
Izzo Naaze Khilafat Pe Lakhon Salaam.

Daal Kar Tan Pe Ishq e Nabi Ki Rida,
Khar Ho, Aag Ho, Woh Utha Chal Pada,
Kar Gaya Paar Jura’at Se Har Marhala,
Saaya e Mustafa, Maaya e Istafa,
Izzo Naaze Khilafat Pe Lakhon Salaam.