Mere Aaqa Ka Jo Dar Hai Wo Dar Siddique Akbar Ka,
Basa Hai Sabz Gumbad Me Nagar Siddique Akbar Ka,
Fida Hai Khuld Bhi Us Par Jaha’n Lete Huye Hai’n Woh,
Nabi Ke Qurb Ki Jannat Hai Ghar Siddique Akbar Ka,
Utarta Hai Abhi Tak “Izhuma Filgaar” Ka Sadqa,
Wahi Pehlu Hai Ab Bhi Mustaqar Siddique Akbar Ka,
Anees e Mustafa Ban Gayi Har Ek Ada Unki,
Nirala Hai Jaha’n Se Ye Hunar Siddique Akbar Ka,
Sharaf Pehli Khilafat Ka Unhe Sarkar Ne Bakhsha,
Hai Charkhe Afzaliyat Par Qamar Siddique Akbar Ka,
Zamane Kaise Bhulega Wo “Gaar e Saur” Ka Manzar,
Shab e Hijrat Anokha Tha Safar Siddique Akbar Ka,
Bani Sham’aye Nabuwat Ke Liye Faanus Unki Jaa’n,
Hisar e Shaah Tha, Taare Jigar Siddique Akbar Ka,
Nabi Ko Dekhna Sab Se Pasandidah Amal Unka,
Hai Kitna BeBaha Noor e Basar Siddique Akbar Ka,
Fida Insaniyat Ki Azmate’n Unke Taqaddus Par,
Laqab Baad e Rasool Afzalul Bashar Siddique Akbar Ka,
Basi Unki Muhabbat Haidar e Karrar Ke Dil Me,
Adab Karte The Usman O Umar Siddique Akbar Ka,
Ise Jazbe Se Chahat Ban Gayi Sab Se Gani Unki,
Nabi Ka Ishq Hai Anmol Zar Siddique Akbar Ka,
Karenge Sab Ujale Hashr Kasbe Ziya Un Se,
Sada Chamkega Khurshide Nazar Siddique Akbar Ka,
Hamare Waaste Aezaz Hai Unki Sana Khwani,
Qasida Hai Bahaut Hi Muattabar Siddique Akbar Ka,
Waha Se Uske Saare Kaam Pure Hote Rehte Hai,
Nahi Phirta Hai Khadim Dar Badar Siddique Akbar Ka,
Yaqeenan Wo Dar e Sarkar Ka Mehboob Hota Hai,
Jo Ban Jata Hai Mehboob e Nazar Siddique Akbar Ka,
Bujha Rehta Hai Suraj Unke Talwo’n Ki Tajalli Se,
Koi Jaanega Kya Aijaz e Sar Siddique Akbar Ka,
Jahane Ishq Me Aaj Bhi Hai Unki Shehenshahi,
Ke Hai Kirdar Aisa Tajwar Siddique Akbar Ka,
Huye Ishq e Nabi Ke Aaj Tak Jitne Diye Roshan,
Fareedi Sab Me Aaya Hai Asar Siddique Akbar Ka,