Koi Badal Nahi Siddiqui Kaarnamo Ka

Koi Badal Nahi Siddiqui Kaarnamo Ka,
Nabi Ne Mana Hai Ahesan Unke Kaamo Ka,

Woh Yaar e Gaar, Woh Siddique, Wo Rafeeq e Rasool,
Zaban e Deher Pe Charcha Hai Unke Naamo Ka,

Nabi Ke Baad Khalaiq Me Afzal O Bartar,
Woh Hai Imam Zamane Ke Sab Imamo Ka,

Farog Paati Hai Jisse Sadaqato Ki Nazar,
Ajab Khumar Hai Us Maiqade Ke Jaamo Ka,

Bulandiya Jo Khuda Aur Nabi Ne Di Unko,
Na Ho Sakega Hume Dark Un Muqamo Ka,

Bahaut Sambhal Ka Hum Us Zaat Par Zaba’n Khole,
Mamla Hai Ye Had Darja Aheteramo Ka,

Chamak Raha Hai Hilal e Khalifaye Awwal,
Ghubar Chadh Na Saka Us Pe Ittehamo Ka,

Jaha’n Pe Hazrat e Bu Bakr Jalwa Farma Hai’n,
Waha’n Duroodo’n Ka Nagma Hai Aur Salamo Ka,

Waha’n Se Lete Hai Kherat Aaftab O Qamar,
Ke Noor Aisa Hai Us Dar Ki Subho’n Shaamo’n Ka,

Malak Waha’n Gule Firdous Leke Aate Hai’n,
Waha’n Hai Silsila Allah Ke Payamo Ka,

Waha Rasool O Sahaba Ki Midhato’n Ki Hai Gunj,
Guzar Nahi Hai Waha’n Be Adab Kalamo’n Ka,

Jo Yaar e Gaar Tha Yaar e Mazar Hai Ab Bhi,
Wahi To Markaz e Ulfat Hai Hum Tamamo Ka,

Aye Jalne Waalo Aye Naar e Jaheem Ke Kutto,
Tumhe Naseeb Nahi Sath Zul Kiramo Ka,

Waha’n Risayi Hai Faqat Gul Sifat Nagaho’n Ki,
Waha’n Guzar Nahi Tum Jaise Khaarfaamo Ka,

Zaban Khologe Tum Kya Kisi Ki Izzat Par,
Khula Hai Band Tumhare Hi Payejamo Ka,

Saza Zaroor Milegi Tumhe Ahanat Ki,
Hisab Hoga Layeeno Ka BeLagamo Ka,

Zamee’n Ko Paak Kiya Jaaye Unke Baagi Se,
Yahi Ilaj Hai Saare Namak Haramo Ka,

Bado Ki Izzat O Hurmat Pe De Sada Pehra,
Fareedi ! Hai Ye Fariza Sabhi Ghulamo Ka.

Az Fareedi Siddiqui Misbahi Masqat Uman