Aastan Hai Ye Kis Shahe Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

Aasta’n Hai Ye Kis Shahe Zeeshan Ka Marhaba Marhaba
Aasta’n Hai Ye Kis Shahe Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

Qalb Haibat Se Larza Hai Insan Ka Marhaba Marhaba
Hai Asar Bazme Par Kis Ke Faizan Ka Marhaba Marhaba
Ghar Basa De Meri Chashme Wiran Ka Marhaba Marhaba
Chand Nikla Hasan Ke Shabistan Ka Marhaba Marhaba

Sar Ki Zeenat Imama Hai Irfan Ka Marhaba Marhaba
Jubba Tan Pe Muhammed Ki Ahsan Ka Marhaba Marhaba
Rang Aankhon Mein Zahra Ke Faizan Ka Marhaba Marhaba
Roop Chehre Pe Aayate Quran Ka Marhaba Marhaba

Saj Ke Baitha Hai Nausha Jeelan Ka Marhaba Marhaba

Bazme Kauno Makaa’n Ko Sajaya Gaya Aaj Salle Ala
Saye’nba Rehmato’n Ka Lagaya Gaya Aaj Salle Ala
Anmbiya Auliya Ko Bulaya Gaya Aaj Salle Ala
Ibne Zahra Ko Dulha Banaya Gaya Aaj Salle Ala

Urs Hai Aaj Mehboob e Subhan Ka Marhaba Marhaba

Aasma’n Manzilat Kis Ka Aiwan Hai Wah Kya Shaan Hai
Aaj Khalqe Khuda Kis Ki Mehman Hai Wah Kya Shaan Hai
La takhaf Kis Ka Mashoor Farmaan Hai Wah Kya Shaan Hai
Bil-Yaqeen Wo Shehenshah e Jeelan Hai Wah Kya Shaan Hai

Haq Diya Jis Ko Qudrat Ne Ailan Ka Marhaba Marhaba

Har Taraf Aaj Rehmat Ki Barsat Hai Wah Kya Baat Hai
Aaj Khulne Par Qufle Muhimmat Hai Wah Kya Baat Hai
Chaar Su Jalwah Aarayi e Zaat Hai Wah Kya Baat Hai
Koi Bharne Pe Kashkole Hajaat Hai Wah Kya Baat Hai

Jaagne Ko Muqaddar Hai Insaan Ka Marhaba Marhaba
۔
Koi Mehyue Fugaan, Koi Khamosh Hai, Ab Kise Hosh Hai
Saaze Mutrib Ki Ley Nagme Bardosh Hai, Ab Kise Hosh Hai
Aql Hairat Ke Parde Me Roo Posh Hai, Ab Kise Hosh Hai
Bazm Ki Bazm Masti Dar Aagosh Hai Ab Kise Hosh Hai

Pee Ke Sagar Ali Ke Khumistan Ka Marhaba Marhaba

Kya Hasee’n Manzar e Jood o Ikram Hai, Dawate Aam Hai,
Ahle Dil Ki Nazar Masti Aashaam Hai Dawate Aam Hai
Hashr Tak Muddate Gardishe Jaam Hai, Dawate Aam Hai
Daste Jibreel Masroof e It’aam Hai Dawate Aam Hai

Khao Sadqa Ali Shahe Mardan Ka Marhaba Marhaba

Shamma Tauheed Dil Me Jala Kar Piyo, Dil Laga Kar Piyo
Shahe Batha Ki Khairat Pa Kar Piyo, Dil Laga Kar Piyo
Nagma Kasaaye Wasl Gaa Kar Piyo, Dil Laga Kar Piyo
Aankh Meher Ali Se Mila Kar Piyo, Dil Laga Kar Piyo

Khud Pilane Pe Saqi Hai Jeelan Ka, Marhaba Marhaba

Hai Husn Ka Bankpan Samne, Ek Chaman Samne
Ahle Tathheer Hai Khaima Zan Samne, Panjatan Samne
Hai Ye Rooye Hasan Ki Phaban Samne, Ya Hasan Samne
Jalwa Farma Hai Gause Zaman Samne, Zaufigan Samne

Dekhiye Kya Bane Chashme Weeran Ka, Marhaba Marhaba

Gulshane Mustafa Ki Phaban Aur Hai, Ye Chaman Aur Hai
Shahe Abrar Ki Anjuman Aur Hai, Ye Chaman Aur Hai
Boo e Guldasta e Panjatan Aur Hai, Ye Chaman Aur Hai
Shaane Aale Hussain o Hasan Aur Hai, Ye Chaman Aur Hai

Sarmadi Rang Hai Is Gulistan Ka Marhaba Marhaba

Faqr Ki Saltanat Turfaye Saman Hai, Rehmat Aiwan Hai
Iski Zere Nagi’n Qalbe Insan Hai, ‘Ajze Unwan Hai
Kis Ki Daste Nazar Kasaa Gardaan Hai, Aql Hairan Hai,
Ek Wali Zaibe Range Irfan Hai Wah Kya Shaan Hai

Sar Jhuke Hai Yaha Meer o Sultan Ka, Marhaba Marhaba

Har Ghadi Meherba’n Zaate Baari Rahe, Faiz Jari Rahe
Khak Bosi Pe Baad e Bahari Rahe, Faiz Jari Rahe
Aalame Kaif Mein Bazme Saari Rahe, Faiz Jaari Rahe
Bekhudi Tere Masto’n Pe Taari Rahe, Faiz Jaari Rahe

Meena Barasta Rahe Tere Ahsan Ka Marhaba Marhaba

Tere Deewane Hazir Hai Sarkar Mein, Aaj Darbar Mein
Sar Jhukaye Janabe Gohar Baar Mein, Aaj Darbar Mein
Ban Ke Sayil Teri Bazme Anwar Mein, Aaj Darbar Mein
Yusuf e Misr Dil Tere Bazaar Mein, Aaj Darbar Mein

Jashn Hai Kya Dil Afroz Irfan Ka, Marhaba Marhaba

Dar Badar Muft Ki Thokare Khaye Kyun, Hath Phailaye Kyun,
Mangne Koi Agyaar Mein Jate Kyun, Hath Phailaye Kyun
Uske Naamose Gairat Pe Hurf Aaye Kyun, Hath Phailaye Kyun
Dil Qana’at Ki Zau Se Na Chamkaye Kyun, Hath Phailaye Kyun

Jo Namak Khwan Rahu Peere Peeran Ka Marhaba Marhaba

Shahe Jeelaan Ki Chaukhat Salamat Rahe, Ta-qayamat Rahe
Naqshe Pa Ka Chaman Pur Karamat Rahe, Ta-qayamat Rahe
Khal’ate Ijteba Zebe Qaamat Rahe, Ta-qayamat Rahe
Sar Pe Waliyo Ka Taj e Imamat Rahe, Ta-qayamat Rahe

Silsila Gause Aazam Ke Faizan Ka Marhaba Marhaba

Waris e Khaatim ul Mursaleen Aap Hai’n, Bilyaqin Aap Hai’n
Qasre Zahra Ka Naqshe Hasee’n Aap Hai, Bilyaqin Aap Hai’n
Deen e Barhaq Ke Muhi o Moi’n Aap Hai’n, Bilyaqin Aap Hai’n
Bazme Irfan Ke Masnad Nashee’n Aap Hai, Bilyaqin Aap Hai’n

Har Wali Tufl Hai Is Dabistan Ka, Marhaba Marhaba

Mazhare Zaate Rabbe Qadeer Aap Hai, Dastageer Aap Hai’n
Karwan e Karam Ke Ameer Aap Hai, Dastageer Aap Hai’n
Shahe Bagdad Peeran e Peer Aap Hai, Dastageer Aap Hai’n
Is Naseer e Hazeen Ke Naseer Aap Hai, Dastageer Aap Hai’n

Koi Hamsar Nahi Aapki Shaan Ka, Marhaba Marhaba