Mustafa Shaan e Qudrat Pe Laakhon Salaam

Mustafa Shaan e Qudrat Pe Laakhon Salaam
Awwalee(n) Naqshe Khilqat Pe Laakhon Salaam

Meere Jaishe Rusul Ummi o Aqle Kul
Sadre Bazme Risaalat Pe Laakhon Salaam

Qaaile Wahdahu Laa Shareeka lahu
Maahiye Shirk o Bid’at Pe Laakhon Salaam

Chaake Dil Sil Gaya Aasraa Mil Gaya
Gardishe Chashme Rehmat Pe Laakhon Salaam

Girde Chehra Woh Ik Haalaye Tamkanat
Wad Duha Ki Sabaahat Pe Laakhon Salaam

Bheeni Bheeni Woh Khushboo e Zulfe Dota
Aisi Be Misl Nikhat Pe Laakhon Salaam

Aankh Ko De Gaya Zeena e Irtiqaa
Sabz Gumbad Ki Rif’at Pe Laakhon Salaam

Dast Ki Dastgeeri Pe Daayam Durood
Paawon Ki Istiqaamat Pe Laakhon Salaam

Bheed Mein Choom Le Shaah Ki Jaaliyan
Aye Nazar ! Teri Himmat Pe Laakhon Salaam

Woh Haleema Jo Hai Saaniye Aamina
Uske Lamhaate Khidmat Pe Laakhon Salaam

Az Azal Tere Mansab Pe Laakhon Durood
Ta Abad Teri Be’sat Pe Laakhon Salaam

Naqshe Paa Ke Nagee(n) Jin Ko Tarse Zamee(n)
Chaal Ki Zeb o Zeenat Pe Laakhon Salaam

Kis Ki Chaukhat Pe Tu De Raha Hai Sada
Aye Gadaa! Teri Qismat Pe Laakhon Salaam

Shaana e Aqdas e Shah Pe Behad Durood
Mohre Khatme Nubuwwat Pe Laakhon Salaam

Hausla Dene Aayegi Jo Qabr Mein
Aisi Nadeeda Soorat pe Laakhon Salaam

Kho Gaya Kis Ka Husne Guzar Dekh Kar
Naqshe Paa! Teri Hairat Pe Laakhon Salaam

Unke Roop Aur Rangat Pe Rangee(n) Durood
Unki Shakl o Shabaahat Pe Laakhon Salaam

Gardishe Tham Gayi Mehfile Jam Gayi
Kamli Waale Ki Nisbat Pe Laakhon Salaam

Ek Do Teen Kya Laakhon Sar Kat Gaye
Unki Mansoos Izzat Pe Laakhon Salaam

Umr Bhar Gham Jo Ummat Ka Khaata Raha
Aise Gham khwaare Ummat Pe Laakhon Salaam

Kal Karegi Jo Shore Qayamat Faro
Us Dil Aawaiz Qaamat Pe Laakhon Salaam

Jis Ko Paakar Haleema Ghani Ho Gayi
Aamina Teri Daulat Pe Laakhon Salaam

Dekhne Waali Aankhon Pe Paiham Durood
Markaze Deed Soorat Pe Laakhon Salaam

Unki Aamad Ka Sun Kar Jo Hoga Bapaa
Aisi Shore Qayaamat Pe Laakhon Salaam

Zainab o Murtaza Phir Hussain o Hasan
Aur Khatoone Jannat Pe Laakhon Salaam

Chaar Yaraane Hazrat Pe Har Dam Durood
Unke Daure Khilafat Pe Laakhon Salaam

Shaahe Bagdaad Gausul Wara Muhyidee(n)
Aabroo e Tareeqat Pe Laakhon Salaam

Kijiye Band Aankhen Naseer Aur Phir
Bhejiye Unki Soorat Pe Laakhon Salaam