Sab Se Arfa’ Hai Hasti Nabi Paak Ki

Sab Se Arfa’ Hai Hasti Nabi Paak Ki, Sab Rasoolon Se Aala Maqaam Aap Ka
Har Makaa(n) mein Makee(n) Unke Anwaar Hai, La Makaa(n) Bhi Hai Daarul Qiyaam Aap Ka

Chashm Hoti Hai Nam Aap Ki Yaad Se, Bhool Jaate Hai Gham Aap Ki Yaad Se,
Kaif Mein Doob Jaate Hai Jaano Jigar, Jab Bhi Honto Pe Aata Hai Naam Aap Ka

Unki Har Ik Ada Jaane Imaan Hai Roohe Islaam Tafseere Qur’an Hai
Hont Unke Hile Bolta Hai Khuda, Baat Haq Ki Hai Goya Kalaam Aap Ka

Unka Lutfo Karam Be Baha Be Baha, Unki Rehmat Ki Koi Nahi Intihi
Jis Ne Ik Baar Bheja Salaam Aap Ko, Usko Das Baar Aaya Salaam Aap Ka

Hai Zamane Pe Un Ka Karam Be Karaa(n), Hai Laqab Aap Ka Rehmate Do Jahaa(n)
Mujrimon Ko Bachata Hai Naam Aap Ka, Aasiyon Ko Bachana Hai Kaam Aap Ka

Mere Sultan Khaliq Ke Mehboob Ko, Jo Bhi Kehna Hai Kehte Ho Kehte Phiro
Poochlo Pehle Aayaate Qur’an Se, Ihtashaam Aap Ka Ihtaraam Aap Ka

Ambiya Auliya Asfiya Atqiya, Bakhuda Be Riya Badhashah wa Gadaa
Najm Shams o Qamar Ye Hajar Ye Shajar, Saara Aalam Hai Saaim Ghulaam Aap Ka