Saaz e Gham Ke Taar Dil Ke Tar Se Milte Rahe

Saaz e Gham Ke Taar Dil Ke Taar Se Milte Rahe
Ashk Aankhon Ko Dare Sarkaar Se Milte Rahe

Raahe Taiba Mein Puraane Aashnaaon Ki Tarah
Aable Paaon Ke Noke Khaar Se Milte Rahe

Daaira Simta To Markaz ! La Makaa Par Ban Gaya
Dono Kauson Ke Kinaare Pyaar Se Milte Rahe

The Azal Ke Roz Se Sarkaar Unko Jaante
Jo Payaam Unko Hira Ke Gaar Se Milte rahe

Choomne Aate Farishte The Inhe Aflaak Se
Jo gale Haq Ke Liye Galwaar Se Milte Rahe

Tha Saraapa Jurm Saaim Naat Ke In’aam Par
Sarware Kaunain Ke Darbaar Se Milte Rahe