Gunahgaaron ko haatif se naveede khush ma-aali hai
Mubarak ho shafa’at ke liye Ahmed sa waali hai
Qazaa haq hai magar is shauq ka Allah waali hai
Jo un ki raah mein jaaye woh jaan Allah waali hai
Tera qadde mubarak gulbune rehmat ki daali hai
Ise bo kar tere Rab ne bina rehmat ki daali hai
Tumhari sharm se shaane jalaali haq tapakti hai
Khame gardan hilaale aasmaane zul jalaali hai
Zahe khud gum ho gum hone pe yeh dhoonde ki kya paaya
Are jab tak ki paana hai jabhi tak haath khaali hai
Main ik mohtaaj be waq-at gada tere sage dar ka
Teri sarkaar waala hai tera darbaar aali hai
Teri bakhshish pasandi, uzr jooee, tauba khwahi se
Umoome be gunaahi, jurm shaane laa ubaali hai
Abu bakro Umar Usmano Haidar jis ke bulbul hain
Tera sarve sahee us gulbune khoobi ki daali hai
Raza qismat hi khul jaaye jo gilaa(n) se khitaab aaye
Ki tu adna sage dargaahe khuddaame ma-aali hai