Darbar-e-Risalat ki kaisi woh ghadi hogi
Hassaan ke honto pe jab Naat e Nabi hogi
Hassaan ke honto pe jab Naat e Nabi hogi
Bu Bakr o Umar honge Usman o Ali honge
Hasnain ke Nana ki kya bazm saji hogi
Aaqa hai qamar lekin ashaab sitaare hain
Us Chand ki har jaanib taaron ki ladi hogi
Jaayenge Madine hum le jaayega jab Allah
Dil sajda kuna hoga aankhon me jhadi hogi
Jab wadiye Taa’if me rangeen Naalain
Arsho pe farishton ke dil par bhi bani hogi
Jab Uhad o Badr wale Aaqa pe huwe qurbaan
Khush khabri phir unko jannat ki mili hogi