Lau Madine ki tajalli se lagaye hue hai
Dil ko hum matla’e anwaar banaye hue hai
Dil ko hum matla’e anwaar banaye hue hai
Kashtiyan apni kinaare se lagaye hue hai
Kya woh doobe jo Muhammad ki tiraye hue hai
Kya woh doobe jo Muhammad ki tiraye hue hai
Sharme isiyaan se nahi saamne jaaya jaata
Ye bhi kya kam hai tere sheher me aaye hue hai
Ik jhalak aaj dikha gumbade khazra ke maqee
Kuch bhi hai door se deedar ko aaye hue hai
Kuch bhi hai door se deedar ko aaye hue hai
Haaziro naaziro nooro basharo gaib ko chhod
Shukr kar wo tere aibon ko chupaye hue hai
Naam aate hi Abu bakro Umar ka lab par
Tu bigadta hai wo pehlu me sulaye hue hai
Qabr ki neend se uthna koi aasaan na tha
Hum to mehshar me unhe dekhne aaye hue hai
Hum to mehshar me unhe dekhne aaye hue hai
Sar pe rakh dijiye daste tasalli Aaqa
Gum ke maare hai zamane ke sataye hue hai
Teri nisbat hi to hai jiski badaulat hum log
Kufr ke daur me Imaan bachaye hue hai
Kyon na palda tere aamal ka bhaari ho Naseer
Ab to mizaan pe Sarkaar bhi aaye hue hai.