Khushiyon Ka Saawan Layaa Hai
Milaad Ka Mausam Aaya Hai
Ik Kaif Jahaan Par Chaaya Hai
Milaad Ka Mausam Aaya Hai
Milaad Ka Mausam Aaya Hai
Ik Kaif Jahaan Par Chaaya Hai
Milaad Ka Mausam Aaya Hai
Ab Chaak Jighar Se Silte Hain
Ghunche Khushiyon Ke Khilte Hain
Ab Fazal O Karam Ka Sayaa Hai
Milaad Ka Mausam Aaya Hai
Ghilmaano Malaaik Jannat Ko
Kuch Aur Muzayyan Karte Hain
Maula Ne Khuld Sajaaya Hai
Milaad Ka Mausam Aaya Hai
Sarkaar Ke Aamad Par Rab Ne
Apni Qudrat Dhiklayi Hai
Rehmat Ka Meena Barsaaya Hai
Milaad Ka Mausam Aaya Hai
Kaliyon Kaliyon Par Joban Hai
Phoolo Phoolo Par Joban Hai
Ghuncha Ghuncha Muskaaya Hai
Milaad Ka Mausam Aaya Hai
Qurbaan Haleema Mai Tujh Par
Hain Tere Goadi Main Sarwaar
Ye Kaisa Muqaddar Payaa Hai
Milaad Ka Mausam Aaya Hai