Main To Khud Unke Dar Ka Gadaa Hoon Naat Lyrics

Main To Khud Unke Dar Ka Gadaa Hoon
Apne Aaqa Ko Main Nazar Kya Doon
Ab To Aankhon Mein Bhi Kuch Nahin Hai
Warna Qadmon Mein Aankhein Bichaa Doon

Aane Waali Hai Unki Tareekh
Phool Naaton Ke Ghar Ghar Sajaa Do
Mere Ghar Mein Andhera Bohot Hai
Apni Palkon Pe Shamma Jalaa Doon

Rauzae Paak Peshe Nazar Hai
Saamne Mere Aaqa Ka Dar Hai
Mujh Ko Kya Kuch Nazar Aa Raha Hai
Tum Ko Lafzon Mein Kaise Bataa Doon

Main Faqat Aap Ko Jaanta Hoon
Aur Usi Dar Ko Pehchanta Hoon
Is Andhere Mein Kis Ko Pukaru
Aap Farmayen Kis Ko Sadaa Doon

Mere Aansu Bohot Keemti Hain
Inse Waabasta Hai Unki Yaade
Inki Manzil Hai Khaake Madina
Ye Gauhar Yoon Hi Kaise Lutaa Doon

Qaafile Jaa Rahe Hain Madine
Aur Hasrat Se Main Tak Raha Hoon
Yaa Lipat Jaoon Qadmon Se Unke
Yaa Qaza Ko Main Apni Sadaa Doon


Meri Bakhshish Ka Saamaan Yahi Hai
Aur Dil Ka Bhi Armaan Yehi Hai
Ek Din Unki Khidmat Mein Jaakar
Unki Naatein Unhi Ko Sunaa Doon