Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja Manqabat Lyrics

Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja
Saara Hindustan Tumhara Ya Khwaja

Hind Me Navve Laakh Ko Kalma Padhwaya
Hum Par Hai Ahsaan Tumhara Ya Khwaja

Saara Anaa Saagar Kuze Me Bhar Aaya
Sunte Hi Farmaan Tumhara Ya Khwaja

Aap Pe Hai Faizaan Janaabe Usman Ka
Hum Par Hai Faizan Tumhara Ya Khwaja

Aap Pe Hai Faizaan Madine Wale Ka
Hum Par Hai Faizan Tumhara Ya Khwaja

Faize Madina Milta Hai Ajmer Se Hi
Roza Hai Zeeshan Tumhara Ya Khwaja

Hargiz Na Sammaan Kabhi Woh Paayega
Jo bhi Kare Apmaan Tumhara Ya Khwaja

Ye Tehreek e Sunni Dawate Islami Rahe Salamat Sunni Dawate Islami
Ye To Hai Faizan Tumhara Ya Khwaja

In Dono Par Khaas Karam Tum Farmana
Shakir Aur Rizwan Tumhara Ya Khwaja

Sayyed Ko Taiba Ki Galiya Dikhla Do
Hai Adnaa Darbaan Tumhara Ya Khwaja