Chaar Soo Rehmaton Ke Ujaale Huwe
Bazme Kaunain Ke Peshwa Aa Gaye
Zaraye Aflaak Se Baatein Karne Lage
Mustafa Aa Gaye Mustafa Aa Gaye
Gham Ke Maare Huwe Muskuraane Lage
Zulmaton Ke Makeen Jagmagaane Lage
Be Kasoon Ke Muqaddar Thikaane Lage
Sab Ke Muhsin Habeebe Khuda Aa Gaye
Hazrate Moosa Jin Ko Taraste Rahe
Ibne Maryam Bhi Jin Ki Khabar De Gaye
Pehle Aaye Huwe Jin Ke Peeche Khade
Aaj Woh Khaatim Ul Ambiya Aa Gaye
Be Zabaanon Ko Tarze Sadaa Bakhsh Di
Faani Insaaniyat Ko Baqaa Bakhsh Di
Dushmane Jaan Ki Har Ik Khata Bakhsh Di
Ban Ke Rehmat Shafi-Ul-Waraa Aa Gaye
Shab Gazeeda Ko Noore Sahar De Diya
Kore Deeda Ko Zauqe Nazar De Diya
Be Nawa Ko Dua Ka Asar De Diya
Saari Makhlooq Ka Aasra Aa Gaye
Zikr Kaise Karu Wasf Sarkaar Ka
Kya Bayan Ho Samaa Un Ke Darbaar Ka
Dil Zahoori Bana Matla’ Anwaar Ka
Jab Tasawwur Mein Woh Dil Rubaa Aa Gaye