Aa Gayi Mustafa Ki Sawaari
Apne Ghar Ko Diyo Se Sajaa Lo
De Rahe Hain Farishte Salaami
Tum Duroodo Ki Maala Banaa Lo
Apne Ghar Ko Diyo Se Sajaa Lo
De Rahe Hain Farishte Salaami
Tum Duroodo Ki Maala Banaa Lo
Kar Ke Naaton Se Har Soo Charaaga
Yoon Manaaenge Jashne Bahaara
Aashiqo Aamade Mustafa Hai
Deep Khushiyon Ke Har Soo Jalaa Lo
Apne Mangto Ko Woh Paalte Hain
Woh Bhala Kis Ko Kab Taalte Hain
Sadqa Hasnaino Ghausul Waraa Ka
Ya Nabi Meri Jholi Me Daalo
Bakht Chamkenge Ek Din Humaare
Dekh Lenge Wo Dil Kash Nazaare
Aap Ko Jo Bhi Sab Se Hain Pyaare
Un Ke Sadqe Mein Hum Ko Bulaa Lo
Poore Ho Jaayenge Unke Armaan
Kar Rahe Hain Woh Bakhshish Ke Saamaan
Jashne Milaad Ki Barkaton Se
Apne Qalbo Nazar Jagmagaa Lo
Jin Ke Haatho Mein Hai Unka Daaman
Naame Ahmad Hai Jis Dil Ki Dhadkan
Jo Hai Pehchaan Hum Aashiqon Ki
Jhoom Kar Unka Naara Laga Lo
Midhate Mustafa Hi Ke Sadqe
Hai Moin Apne Sab Kaam Bante
Har Ghadi Zikr Ho Mustafa Ka
Is Ko Apna Wazeefa Bana Lo