Ya Shafi e Umam Lillah Kar do Karam Naat Lyrics

Ya shafiye umam lillah kar do karam
Rab salaamat rakhe tera sohna haram
Ham ghulamo ka rakhna khudara bharam
Rab salaamat rakhe tera sohna haram

Muntashir hain khayalaat ki waadiyaan
lut gaya hai sukoon waaliye do jahaan
Rehem farma de ab teri ummat hain hum
Rab salaamat rakhe tera sohna haram

Mere haathon main kaasa hai umeed ka
Hoon bhikaari Shaha main teri deed ka
Main gadaaye haram too Nabi Mohtaram
Rab salaamat rakhe tera sohna haram

Kis ko jaakar kahein Taajdaare haram
Ghera daale hue hain zamane ke gham
Door ho jaaye gham Ya Nabi mohtasham
Rab salaamat rakhe tera sohna haram

Tere yaadon maa’moor seena rahe
Saamne mere tera Madina rahe
Dar pe baitha rahoon leke main chashme nam
Rab salaamat rakhe tera sohna haram

Ya Nabi apni ulfat ki saugaat de
Apni shayane shaan hum ko khairaat de
Is se matlab nahi hai siwaa ho ke kam
Rab salaamat rakhe tera sohna haram

Haazri ho Niyazi ki darbaar mein
Umr guzre yoonhi tere azkaar me
Aate jaate rahe teri chaukhat pe hum
Rab salamat rakhe tera sohna haram