Aa Jaaye Bulawa Mujhe Aaqa Ke Dar Se
Jis Dar Ki Ghulami Ko To Jibreel Bhi Tarse
Paidal Hi Nikalte Hain Masaafat Ka Nahin Khauf
Thakte Hi Nahin Hum To Madine Ke Safar Se
Sunnat Pe Teri Chalne Ka Aa Jaaye Qareena
Ye Abr-E-Karam Kaash Mere Dast Pe Barse
Zarra Bhi Lage Gohar-O-Almaas Se Badh Kar
Dekhe To Koi Khaak-E-Arab Meri Nazar Se
Ek Main Hi Nahin Taalib-E-Jalwa Mere Aaqa
Har Ek Musalmaan Tere Deed Ko Tarse
Namoos-E-Muhammad Ke Liye Jaan Bhi Doonga
Ho Jaunga Waaqif Main Shahaadat Ke Hunar Se
Dunya Ke Faqat Chand Hi Lamhaat The Guzre
Ho Aaye Payambar Mere Sadiyaun Ke Safar Se
Jo Shaam-O-Sahar Salle Alaa Kehta Rahega
Aayega Bulaawa Use Aaqa Ke Nagar Se
Kuch Khauf Nahin Mujh Ko Kadee Dhoop Ka Amjad
Saaya Mujhe Miltaa Hai Risaalat Ke Shajar Se