Woh Yoon Tashreef Laye Hum Gunahgaaro Ke Jhurmut Me
Maseeha jaise aa jaata hai beemaaron ke jhurmut Me.
Madad farmaiya Aaqa pareshaan haal ummat ki,
Ke shorah al madad barpa hai becharon ke jhurmut Me.
Laraz jaati hai har moje bala se aaj woh kashti ,
Raha karti thee jo khanda kabhi dhaaron ke jhurmut Me.
Hussain ibne Ali ki aaj bhi hum ko zaroorat hai,
Ghira hai aaj bhi islam khukhaaron ke jhurmut Me.
Nabi Ka Aks-E-Rukh Jalwa Figan Hai Warna aye Tehseen
Chamak Aisi Kahaan Se Aa Gayi Taaron Ke Jhurmut Me