Mo’jiza mere Nabi ka Keh diya to ho gaya
Ap ne qatre ko dariya Keh diya toh ho gaya
Haat me talwar lekar Aaye jab hazrat umar
Aa mere daman me aaja Keh diya toh ho gaya
Aab deeda the ba waqte Asr jab Hazrat Ali
Doobe suraj ko nikalja Keh diya toh ho gaya
Masjid e Nabavi me ghar se Aap ke mimbar talak
Aap ne jannat ka tukda Keh diya toh ho gaya
Billiyo pe unki shafkat
Aur muhabbat dekh kar
Mustafa ne bu huraira Keh diya to ho gaya
Mustafa ko hai khuda se Pyaar kitna dekhiye
Khana e kaaba ko qibla Keh diya toh ho gaya
Naam lekar Mustafa ka Haat me lekar kalam
Mai ne Ajmal ek qasida Keh diya toh ho gaya