Do Jahaan Ke Waali Ka Do Jahaan Pe Saaya Hai
Un Ko To Khuda Ne Un Ki Marzi Se Banaaya Hai
Un Ko To Khuda Ne Un Ki Marzi Se Banaaya Hai
Noori Noori Jalwe Hain Kaise Pyaare Jalwe Hai
Chaand Unke Jalwon Ki Bheek Lene Aaya Hai
Waduha Ka Chehra Hai Taaha Ka Sehra Hai
Unke Muskurane Se Zamaana Jagmagaaya Hai
Toor Pe Kaha Rab Ne Lantarani Moosa Ko
Lekin Mere Aaqa Ko Arsh Pe Bulaaya Hai
Nabiyon Ne Salaami Di Waliyon Ne Ghulami Ki
Sar Pe Un Ke Khaaliq Ne Taaj Wo Sajaaya Hai
Lete Hain Dua’en Woh Karte Hain Jafaa’en Woh
Seene Se Laga’en Usko Jis Ne Bhi Sataaya Hai
Barkaton Ke Rele Hain Nooriyon Ke Mele Hain
Haleema Teri Kuttya Me Kaun Muskuraaya Hai