Khusrawi achchi lagi na sarwari achchi lagi
Hum fakiron ko Madine ki gali achchi lagi
Hum fakiron ko Madine ki gali achchi lagi
Door they to zindagi be rang thi be kaif thi
Unke kuwe me gaye to zindagi achchi lagi
Mai na jaunga kahin bhi dar nabi ka chhodkar
Mujhko kuwe Mustafa(s..a.w) ki chaakri achchi lagi
Walihana ho gaye jo tere qadmon par nisaar
Haq ta’ala ko adaa unki badi achchi lagi
Naaz kar tu ai Halima sarware kaunain par
Gar lagi achchi to teri jhopdi achchi lagi
Rakh diye sarkar ke qadmon pe sultanon ne sar
Sarware kaunon makan ko saadgi achchi lagi
Aaj mehfil me Niyaazi naat jo maine padhi
Aashiqane Mustafa ko woh badi achchi lagi