Bayaan Ho Kis Zubaan Se Martaba Siddique-E-Akbar Ka
He Yaare Ghaar Mehboobe Khuda Siddique-E-Akbar Ka
Ilaahi Rahem Farma Khaadim E Siddique-E-Akbar Hoon
Teri Rehmat Ke Sadqe Waasta Siddique-E-Akbar Ka

Rasul Aur Ambiya Ke Baad Jo Afzal Ho Aalam Se
Ye Aalam Mein Hai Kis Ka Martaba Siddique-E-Akbar Ka

Gadaa Siddique-E- Akbar Ka Khuda Se Fazl Paata Hai
Khuda Ke Fazl Se Mein Hoon Gadaa Siddique-E-Akbar Ka

Huwe Farooq O Usman O Ali, Jab Daakhile Bayt
Bana Fakhro Salaasil Silsila Siddique-E-Akbar Ka

Maqaame Khwaabe Raahat Chain Se Aaraam Kar Ne Ko
Bana Pehlu E Mehboob E Khuda Siddique-E-Akbar Ka

Ali haiin us ke dushman aur woh dushman Ali ka
Jo dushman aql ka dushman huwa Siddique-e- Akbar ka

Lutaaya raahe haq mein ghar kaee baar is muhabbat se
Ke lut, lut, kar HASAN ghar bhar gaya, Siddique-e- Akbar ka