Aye naseeb mere naseeb
tu zara sabr rakh zara sabr kar
Woh bulayenge hume ek din
joh nashee(n) hai arsho ke arsh par
Ke woh jaante hai dilon ko bhi
aur jaante hai dilon ki bhi
Ke woh dilnasheen hai dilon ke bhi
zara aur dil se tu arz kar
Tu Marize Ishqe Rasool hai
aur zahe Naseeb ye marz hai
Woh Tabeeb e Aalame Marz hai
kyu sisak raha hai tu marz par
Joh asar kare arsho ke paar
tu suna kuch aisi Kamaal e Tarz
Ja sisak tu fir usi tarz pe
ke woh aayenge teri tarz par
Jo bhara hai daaman gunaahon se toh kar tauba or yeh aqeeda rakh
Dikha phir nadaamate sajde me
woh jeelayenge tujhe hashr par
Yahi Hasrat e Mehboob hai
woh bulaye Farsh e Madina aur
Karu aankhen apni mai band udhar
so jaun phir usi farsh par