Yaad me jiski nahi hoshe tano Jaa(n) hum ko
Phir dikhade woh rukh aye mehre faroza hum ko
Der se aap mein aana nahi milta hain humein
Kya hi khud-rafta kiya jalwaye janaa(n) hum ko
Jis tabassum ne gulistaa(n) pe girayi bijli
Phir dikhade woh adaaye gule khanda(n) hum ko
Kaash aaweezaye kindeele Madina ho woh dil
Jis ki sozish ne kiya rashke charaaga hum ko
Arsh jis khoobiye raftaar ka paamaal hua
Do qadam chal ke dikha sarve khiraamaa(n)! hum ko
Shamaye Taiba se main parwana rahoo(n) kab tak door
Haa(n) jala de sha-rare aatishe pinha ! hum ko
Khauf hai sam’a kharashiye sage Taiba ka
Warna kya yaad nahi(n) naa-la o afgaa(n) hum ko
Khaak ho jaaye(n) dare paak pe hasrat mit jaaye
Ya Ilahi na fira be saro saamaa(n) hum ko
Khaare sahraaye Madina na nikal jaaye kahi(n)
Wahshate dil na fira koho bayaabaa(n) hum ko
Tang aaye hain do aalam teri betaabi se
Chain lene de tape seenaye sozaa(n) hum ko
Paau(n) girbaal huye raahe Madina na mili
Aye junoo(n)! Ab to mile rukhsate zindaa(n) hum ko
Mere har zakhme jigar se ye nikalti hai sada
Aye Maleehe Arabi! Karde namakdaa(n) hum ko
Saire gulshan se aseerane qafas ko kya kaam
Na de takleefe chaman bulbule bustaa(n) hum ko
Jab se aankhon me samayi hai Madine ke bahaar
Nazar aate hain khazaa(n)-deeda gulistaa(n) hum ko
Gar labe paak se iqraare shafa’at ho jaaye
Yu(n) na bechain rakhe joshishe isyaa(n) hum ko
Nayyare hashr ne ik aag laga rakhi hai !
Tez hai dhoop mile saaya e daamaa(n) hum ko
Reham farmaiye ya Shah ki ab taab nahi(n)
Tabake khoon rulaye ghame hijraa(n) hum ko
Chaake daamaa(n) mein na thak jaaiyo aye daste junoo(n)
Purze karna hai abhi jebo(n) gharibaa(n) hum ko
Parda us chehraye anwar se utha kar ik baar
Apna aaina bana aye mahe taabaa(n) hum ko
Aye RAZA wasfe rukhe paak sunane ke liye
Nazr dete hain chaman ! murge ghazal khwaa(n) hum ko