Na arsh aiman na “Inni zaahib” mein meh-maani hai
Na lutfe “Udnu Ya Ahmed” naseebe “Lan-taraanee” hai
Naseebe dostaa(n) gar unke dar par maut aani hai
Khuda yoon hi kare phir to humesha zindagaani hai
Usi dar par tadapte hain machalte hain bilakte hain
Utha jaata nahin kya khoob apni na-tawaani hai
Har ik deewaro dar par mehr ne ki hai jabee(n) saaee
Nigaare masjide aqdas mein kab sone ka paani hai
Tere mangta ki khaamoshi shafa’at khwaah hai uski
Zabaane be zabaani tarjumaane khasta jaani hai
Khule kya raaze mehboobo muhib mastaane gaflat par
Sharaabe “Qad-ra-al-haq” zaibe jaame “Man-ra-aanee” hai
Jahaa(n) ki khaak-roobi ne chaman-aara kiya tujh ko
Saba humne bhi un galiyon ki kuch din khaak chaani hai
Shahaa kya zaat teri Haq numa hai farde imqaa(n) mein
Ki tujhse koi awwal hai na tera koi saani hai
Kahaa(n) us kushke jaane jinaa(n) mein zar ki naqqashee
Iram ke taaire range pareeda ki nishaanee hai
“Ziyabun fee thiyaabin” lab pe kalma dil mein gustaakhi
Salaam islaamo mulhid ko ki tasleeme zabaani hai
Ye aksar saath unke shaa-nao miswaak ka rehna
Bataata hai ki dil-resho(n) pe zaaid meherbaani hai
Isi Sarkaar se dunya wa dee(n) milte hai saail ko
Yahi darbaare aali kanze aamaalo amaani hai
Duroode soorate haala muheete maahe Taiba hain
Barasta ummate aasi pe ab rehmat ka paani hai
Ta’aa-lallah istigna tere dar ke gadaaon ka
Ki inko aar farro shaukate saahib kiraani hai
Woh sargarme shafa’at hain araq afshaa(n) hai peshaani
Karam ka itr sandal ki zamee(n) rehmat ki ghaani hai
Yeh sar ho aur woh khaake dar woh khaake dar ho aur ye sar
Raza woh bhi agar chaahen to ab dil mein yeh thaani hai