Ya Nabi Dekha Ye Jalwa Aapki Naalein Ka
Arsh Ne Chooma Hai Talwa Aapki Naalein Ka
Aapki Khidmat Ka Mujhko Kaash Mil Jaata Sharaf
Baandhta Haathon Se Tasma Aapki Naalein Ka
Aapke Qadmon Ki Narmi Qalb Par Mehsoos Ki
Jab Bhi Mein Ne Naqsh Dekha Aapki Naalein Ka
Hashr Mein Jab Log Choomay Aapka Dust-e-Karam
Sab Say Chup Kar Loon Mein Boosa Aapki Naalein Ka
Daast Bosi Ke To Mai Bhala Kabil Kahan
Dijye Bas Mujh Ko Boosa Aapki Naalein Ka
Roz-e-Mehshar Sar Pe Soraj Jab Sawaa Neezay Pe Ho
Aik Nezay Per Ho Saaya Aapki Naalein Ka
Jiss Se Aagay Jaayein Tou Jal Jaye Par Jibril Ke
Uss Se Aagay Jaana Dekha Aapki Naalein Ka
Taaj Kyun Na Bheek Maangay Aapki Naalein Ki
Taajwar Khaatay Hain Sadqa Aapki Naalein Ka
Mujrim-o-Nakara garche aap ka RIZWAN hai
Dil Se Phir Bhi Hai Ye Shaida Aapki Naalein Ka