Soona jungle raat andheri chaaee badli kaali hai
Sone waalo jaagte rahiyo choron ki rakhwaali hai
Aankh se kaajal saaf chura le(n) yaa(n) woh chor bala ke hain
Teri gathri taaki hai aur tune neend nikaali hai
Yeh jo tujh ko bulaata hai yeh thag hai maar hi rakkhega
Haaye musafir dum mein na aana mat kaisi matwaali hai
Sona paas hai soona ban hai sona zaher hai uth pyaare
Tu kehta hai neend hai meethi teri mat hi niraali hai
Aankhen malna jhunjla padna laakhon jamaai angdaai
Naam par uthne ke ladta hai uthna bhi kuch gaali hai
Jugnoo chamke patta khadke mujh tanha ka dil dhadke
Dar samjhaaye koi pawan hai ya agiyaa betaali hai
Baadal garje bijli tadpe dhak se kaleja ho jaaye
Ban mein ghata ki bhayanak soorat kaisi kaali kaali hai
Paau utha aur thokar khaayi kuch samhla phir aundhe muh
Meenh ne fislan kar di hai aur dhur tak khaayi naali hai
Saathi saathi keh ke pukaaroon saathi ho to jawaab aaye
Phir jhunjla kar sar de patkoon chal re Maula waali hai
Fir fir kar har jaanib dekhoon koi aas na paas kahi(n)
Haa(n) ik tooti aas ne haare jee se rafaaqat paali hai
Tum to chaand arab ke ho pyare tum to azam ke sooraj ho
Dekho mujh bekas par shab ne kaisi aafat daali hai
Dunya ko tu kya jaane yeh bis ki gaanth hai harraafa
Soorat dekho zaalim ki to kaisi bholi bhaali hai
Shahed dikhaye zaher pilaaye, qaatil, daain, shohar kush
Is murdaar pe kya lalchaaya dunya dekhi bhaali hai
Woh to nihaayat sasta sauda bech rahe hain jannat ka
Hum muflis kya mol chukaayen apna haath hi khaali
Maula tere afwo karam ho(n) mere gawaah safaayi ke
Warna Raza se chor pe teri digri to iqbaali hai