Wohi Rab hai jis ne tujh ko hamaa- tan Karam banaya
Humein bheek maangne ko tera aastaa(n) bataya
Tujhe hamd hai Khudaya
Humein bheek maangne ko tera aastaa(n) bataya
Tujhe hamd hai Khudaya
Tumhi(n) haakime baraaya tumhi(n) qaasime ataaya
Tumhi(n) daafe’ye balaaya tumhi shaafe’ye khataaya
Koi tum sa kaun aaya
Tumhi(n) daafe’ye balaaya tumhi shaafe’ye khataaya
Koi tum sa kaun aaya
Woh kunwaari paak Maryam woh Nafakhtu feehi ka dum
Hai ajab nishaane aa’zam magar Aamina ka jaaya
Wohi sab se afzal aaya
Hai ajab nishaane aa’zam magar Aamina ka jaaya
Wohi sab se afzal aaya
Yahi bole sidra waale chamane jahaa(n) ke thaale
Sabhi maine chaan daale tere paaye ka na paaya
Tujhe yak ne yak banaya
Sabhi maine chaan daale tere paaye ka na paaya
Tujhe yak ne yak banaya
“Fa izaa faraghta fan sab” yeh mila hai tum ko mansab
Jo gada bana chuke ab uththo waqte bakhshish aaya
Karo qismate ataaya
Jo gada bana chuke ab uththo waqte bakhshish aaya
Karo qismate ataaya
“Wa ilal ilaahi farghab” karo arz sab ke matlab
Ki tumhi(n) ko takte hain sab karo un par apna saaya
Bano shaafe’ye khataaya
Ki tumhi(n) ko takte hain sab karo un par apna saaya
Bano shaafe’ye khataaya
Are aye Khuda ke bando ko mere dil ko dhoondo
Mere paas tha abhi to abhi kya hua Khudaya
Na koi gaya na aaya
Mere paas tha abhi to abhi kya hua Khudaya
Na koi gaya na aaya
Hume aye Raza tere dil ka pata chala ba mushkil
Dare rauza ke muqaabil woh humein nazar to aaya
Yeh na pooch kaisa paaya
Dare rauza ke muqaabil woh humein nazar to aaya
Yeh na pooch kaisa paaya
Kabhi khanda zere lab hai kabhi girya saari shab hai
Kabhi gham kabhi tarab hai na sabab samajh mein aaya
Na usi ne kuch bataya
Kabhi gham kabhi tarab hai na sabab samajh mein aaya
Na usi ne kuch bataya
Kabhi khaak par pada hai sare charkh zere paa hai
Kabhi peshe dar khada hai sare bandagi jhukaaya
To qadam mein arsh paaya
Kabhi peshe dar khada hai sare bandagi jhukaaya
To qadam mein arsh paaya
Kabhi woh ťapak ki aatish kabhi woh tapak ki baarish
Kabhi woh hujoome naalish koi jaane abr chaaya
Badi joshisho se aaya
Kabhi woh hujoome naalish koi jaane abr chaaya
Badi joshisho se aaya
Kabhi woh chahak ki bulbul kabhi woh mahak ki khud gul
Kabhi woh lahak ki bilkul chamane jinaa(n) khilaaya
Gule quds lehlahaaya
Kabhi woh lahak ki bilkul chamane jinaa(n) khilaaya
Gule quds lehlahaaya
Kabhi zindagi ke armaa(n) kabhi marge nau ka khwahaa(n)
Woh jiya ki marg qurbaa(n) woh muwa ki zeest laaya
Kahe rooh ha jilaaya
Woh jiya ki marg qurbaa(n) woh muwa ki zeest laaya
Kahe rooh ha jilaaya
Kabhi gum kabhi ayaa(n) hai kabhi sard gah tapaa(n) hai
Kabhi zere lab fugaa(n) hai kabhi chup ki dum na tha ya
Rukhe kaam jaa(n) dikhaaya
Kabhi zere lab fugaa(n) hai kabhi chup ki dum na tha ya
Rukhe kaam jaa(n) dikhaaya
Yeh tasawwuraate baatil tere aage kya hain mushkil
Teri qudrate(n) hain kaamil inhe(n) raast kar Khudaya
Main unhe Shafee’ laaya
Tujhe hamd hai Khudaya
Teri qudrate(n) hain kaamil inhe(n) raast kar Khudaya
Main unhe Shafee’ laaya
Tujhe hamd hai Khudaya