Kya hi zauq afza shafa’at hai tumhari wah wah
Karz leti hai gunah parhezgari wah wah
Khaamaye qudrat ka husne dast-kaari wah wah
Kya hi tasweer apne pyare ki sanwaari wah wah
Ashk shab bhar intizaare afwe ummat me bahe(n)
Main fida chaand aur yu(n) akhtar shumaari wah wah
Ungliyan hain faiz par toote hain pyase jhoom kar
Naddiyaa(n) panjaabe rehmat ki hain jaari wah wah
Noor ki khairaat lene daudte hain mehro maah
Uthti hai kis shaan se garde sawaari wah wah
Neem jalwe ki na taab aaye qamar saa(n) to sahi
Mehr aur un talwo(n) ki aaina daari wah wah
Nafs ye kya zulm hai jab dekho taaza jurm hai
Natawaa(n) ke sar pe itna bojh bhaari wah wah
Mujrimo ko dhoondti firti hai rehmat ki nigaah
Taale-e- bargashta teri saazgaari wah wah
Arz begi hai shafa’at afw ki sarkaar mein
Chant rahi hai mujrimo(n) ki fard saari wah wah
Kya Madine se hawa aayi ki phoolon mein hai aaj
Kuch nayi boo bheeni bheeni pyari pyari wah wah
Khud rahe parde mein aur aaina aqse khaas ka
Bhej kar anjaano(n) se ki raahdaari wah wah
Is taraf rauze ka noor us samt mimbar ki bahaar
Beech mein jannat ki pyari pyari kyaari wah wah
Sadqe is in’aam ke qurbaan is ikraam ke
Ho rahi hai dono aalam mein tumhari wah wah
Paara e dil bhi na nikla dilse tohfe mein RAZA
Un sagaane koo itni jaan pyari wah wah