Jitna mere khuda ko hai mera Nabi azeez
Konain me kisi ko na hoga koi azeez
Konain me kisi ko na hoga koi azeez
Kyu jaaye hum kahi ke ghani tum ne kar diya
Ab to ye ghar pasand ye dar ye gali azeez
Ab to ye ghar pasand ye dar ye gali azeez
Jo kuch teri raza hai khuda ki wahi khushi
Jo kuch teri kushi hai khuda ko wahi azeez
Jo kuch teri kushi hai khuda ko wahi azeez
Khak e Madina par mujhe Allah maut de
Wo murda dil hai jisko na ho zindagi azeez
Wo murda dil hai jisko na ho zindagi azeez
Go hum namak haram nikamme gulaam hai
Qurbaan phir bhi rakhti hai rehmat teri azeez
Qurbaan phir bhi rakhti hai rehmat teri azeez
Shaan e karam ko achche bure se garaz nahi
Usko sabhi pasand hai usko sabhi azeez
Usko sabhi pasand hai usko sabhi azeez
Mangta ka haat utha to Madina hi ki taraf
Tera hi dar pasand hai teri gali azeez
Tera hi dar pasand hai teri gali azeez
Us dar ki khak par mujhe marna pasand hai
Takhte shahi pe kisko nahi zindagi azeez
Takhte shahi pe kisko nahi zindagi azeez
Konain de diye hai tere ikhtiyaar me
Allah ko bhi kitni hai khatir teri azeez
Allah ko bhi kitni hai khatir teri azeez
Mehshar me do jaha ko khuda ki khushi ki chah
Mere Huzoor ki hai khuda ko khushi azeez
Mere Huzoor ki hai khuda ko khushi azeez
Quraan kha raha hai usi khaak ki qasam
Hum kon hai khuda ko hai teri gali azeez
Hum kon hai khuda ko hai teri gali azeez
Dil se zara ye keh de ke unka gulaam hu
Har dushman e khuda ho khuda ko abhi azeez
Har dushman e khuda ho khuda ko abhi azeez
Taiba ke hote khuld e bari kya karu HASAN
Mujh ko yahi pasand hai mujh ko yahi azeez
Mujh ko yahi pasand hai mujh ko yahi azeez