AYE DEEN E HAQ KE REHBAR TUM PAR SALAAM HAR DAM

Aye Deen e Haq Ke Rehbar Tum Par Salaam Har Dam
Mere Shafi’ye Mehshar Tum Par Salaam Har Dam

Is Bekas o Hazee Par Jo Kuch Guzar Rahi Hain
Zaahir Hai Sab Wo Tum Par Tum Par Salaam Har Dam

Duniya o Aakhirat Mein Jab Mai Rahu Salaamat
Pyaare Padhu Na Kyun Kar Tum Par Salaam Har Dam

Banda Tumhare Dar Ka Aafat Mein Mubtala Hain
Rehme Habeeb e Daawar Tum Par Salaam Har Dam

Lillah Ab Hamari Fariyad Ko Pohochiye
Behad Hai Haal Abtar Tum Par Salaam Har Dam

Jallaade Nafse Bad Se Dije Mujhe Rihayi
Ab Hai Gale Pe Khanjar Tum Par Salaam Har Dam

Koyi Nahi Hai Mera Main Kis Se Daad Chahoon
Sultaan e Banda Parwar Tum Par Salaam Har Dam

Bulwa Ke Apne Dar Par Ab Mujh Ko Dije Izzat
Phirta Hu Khwar Dar Dar Tum Par Salaam Har Dam

Koi Nahi Hamara Ham Kis Ke Dar Pe Jaayen
Aye Bekason Ke Yaawar Tum Par Salaam Har Dam

Mohtaaj Se Tumhare Karte Hain Sab Kanara
Bas Ik Tumhi Ho Yaawar Tum Par Salaam Har Dam

Apne Gada e Dar Ki Lije Khabar Khudara
Kije Karam Hasan Par Tum Par Salaam Har Dam