Badal ya fard jo kaamil hai Ya Gaus
Tere hi dar se mustakmil hai Ya Gaus
Jo teri yaad se zaahil hai Ya Gaus
Woh zikrullah se ghaafil hai Ya Gaus
Sukhan hain asfiya tu magze maa’na
Badan hain auliya tu dil hai Ya Gaus
Agar woh jisme irfaa(n) hain to tu aankh
Agar woh aankh hain tu til hai Ya Gaus
Uloohiyyat nubuwwat ke siwa tu
Tamaam afzaal ka qaabil hai Ya Gaus
Nabi ke qadmon par hai juz nubuwwat
Ki khatm is raah mein haail hai Ya Gaus
Uloohiyyat hi Ahmed ne na paayi
Nubuwwat hi se tu aatil hai Ya Gaus
Sahabiyyat hui phir taabi-iyyat
Bas aage qaadri manzil hai Ya Gaus
Hazaaron taabe’ee se tu fuzoo(n) hai
Woh tabqa mujmalan faazil hai Ya Gaus
Raha maidano sharistaane irfaa(n)
Tera ramna teri mehfil hai Ya Gaus
Yeh chsishti soharwardi naqshbandi
Har ik teri taraf maail hai Ya Gaus
Teri chidiyaan hain tera dana paani
Tera mela teri mehfil hai Ya Gaus
Unhen to qadri bai-at hai tajdeed
Woh ha(n) jo khaati jo mustabdil hai Ya Gaus
Qamar par jaise khur ka yoon tera qarz
Sab ahle noor par faazil hai Ya Gaus
Galat kar dum tu waahib hai na mukriz
Teri bakhshish tera naail hai Ya Gaus
Koi kya jaane tere sar ka rutba
Ki talwa taaje ahle dil hai Ya Gaus
Mashaaikh mein kisi ki tujh pe tafzeel
Ba hukme auliya baatil hai Ya Gaus
Jaha(n) dushwaar ho wahme musaawaat
Yeh jur-at kis qadar haail hai Ya Gaus
Trre khuddaam ke aage hai ik baat
Jo aur aqtaab ko mushkil hai Ya Gaus
Use idbaar jo mudbir hai tujhse
Woh zee iqbaal jo muqbil hai Ya Gaus
Khuda ke dar se hai matroodo makhzool
Jo tera taariko khaazil hai Ya Gaus
Sitam kori wahaabi raafizi ki
Ki hindu tak tera qaail hai Ya Gaus
Woh kya jaanega fazle murtaza ko
Jo tere fazl ka jaahil hai Ya Gaus
Raza ke saamne ki taab kis mein
Falak-waar is pe tera zil hai Ya Gaus