Baatil ke jab jab badle hai tevar
Aaya hai tab tab meri zabaan par
Naara e takbeer allaho akbar
Khud bhi jeeyo jeene do sabhiko
Izaa na pahuchao khud se kisi ko
Islam ka yahi darse munawwar
Naara e takbeer allaho akbar
Aaya hai tab tab meri zabaan par
Naara e takbeer allaho akbar
Pyaare nabi ne jeena sikhaya
Bakhuda insaan hum ko banaya
Pehnaya akhlaq o iman ka zevar
Naara e takbeer allaho akbar
Bakhuda insaan hum ko banaya
Pehnaya akhlaq o iman ka zevar
Naara e takbeer allaho akbar
Khud bhi jeeyo jeene do sabhiko
Izaa na pahuchao khud se kisi ko
Islam ka yahi darse munawwar
Naara e takbeer allaho akbar
Siddiq o farooq o usman o haidar
Ashabo azvajo shabbir o shabbar
In sab ka ehsan hum sab ke upar
Naara e takbeer allaho akbar
Baghdadi mehkhana chalta rahega
Ajmeri pyaala chalakta rahega
Noori miyan denge barkati sagar
Naara e takbeer allaho akbar
Mizan par aaqa hum ko bachaiyo
Daman me apne hum ko chupaiyo
Itna karam ya shafa e mehshar
Naara e takbeer allaho akbar
Rahe khuda me ghar ko lutaye
Deen e nabi pe sar ko kataye
Uqba ki daulat loote bhar bhar
Naara e takbeer allaho akbar
Sacche sada aqwaal hamare
Seedhe sada aamal hamare
Tab hoga rab meherban hum par
Naara e takbeer allaho akbar
Nazmi ko Khwaja se faiz mila hai
Aur Hasnaini Jaam isne piya hai
Nazmi Ghulame Ghulamane Haidar
Naara e Takbeer Allahu Akbar