Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai
Tera Mera Sab Ka Jo Ma’bood Hai
Hai Wahi Shahid Wahi Mash-hood Hai
Noor Uska Har Jagah Maujood hai
Usne Hi Bakshe Hai Humko Mustafa
Ye Na Ho To Zindagi Be Sud Hai
Yu To Hai Quraa(n) hai Hidayat Ki Kitaab
Par Kisi Ka Tazkira Maqsood Hai
Wad-duha Wash-shams Jiski Shaan Hai
Haan Wahi Ahmed Wahi Mehmood Hai
UnKa Charcha har zabaa(n) par hai rawaa(n)
Unki Khushboo Har Jagah Maujood Hai
Azmat E Ahmad Me Jisko Hai Shuba
Haan Wahi Shaitaa(n) Wahi Mardood Hai
Aur Jo Karta Hai Un Par Jaa(n) Fida
Wo Mubarak Hai Wahi Mas-ood Hai
Noor Ki Barsaat Hoti Hai Waha
Jis Jagah Par Mehfil E Maulood Hai
Padhte Rahiye Nazmi Naat E Mustafa
Haan Isi Me Rooh Ki Beh-bood Hai