Meri Ulfat Madine Se Yun Hi Nahi Naat Lyrics

Meri ulfat Madine se yun hi nahi
Mere aaqa ka rouza Madine mein hai
Mein Madine ki jaanib na kaise khinchu
Mera deen or duniya Madine mein hai

Arsh e aazam pe jis ki badhi shaan hai
Roza e Mustafa jis ki pehchaan hai
Jis ka hum palla koi mohalla nahi
Ek aisa mohalla Madine mein hai

Phir mujhe mout ka koi khatra na ho
Mout kya zindagi ki bhi parwah na ho
Kaash Sarkaar ek baar mujh se kahe
Aa tera jeena marna Madine mein hai

Sarware dee jahaa se dua hai meri
Ye budo chashmey tar ilteja hai meri
Un ki fehreest mein mera bhi naam ho
Jinn ka roz ana jaana Madine mein hai

Jab nazar suye Taiba rawana hui
Saath dil bhi gaya saath jaan bhi gai
Mein Muneer ab rahunga yaha kisliye
Mera sara asasa madine mein hai