Sarkar ka Madina Sarkar ka Madina
Sarkar ka Madina Sarkar ka Madina
Ajab rang par hai bahaare Madina,
Ki sab jannate hai nisaare Madina,
Ki sab jannate hai nisaare Madina,
Suhaana suhaana dulaara Madina
Har aashiq ki aankho ka taara Madina
Pahado pe di Husn Kaate bhi dil kash
Hai Qudrat ne kaisa sawaara Madina
Khula Hai Sabhi Ke Liye Baab e Rehmat,
Wahan Koi Rutbe Me Adna Na Aali
Muraado Se Daaman Nahi Koi Khaali,
Qataare Lagaye Khade Hai Sawaali
Muraado Se Daaman Nahi Koi Khaali,
Qataare Lagaye Khade Hai Sawaali
Mein Pehle Pehel Jab Madine Gaya Tha,
To Thi Dil Ki Halat Tadap Jaane Waali,
Wo Darbaar Sach Much Mere Samne Tha,
Wo Darbaar Sach Much Mere Samne Tha,
Abhi Tak Tasawwur Tha Jis Ka Khayaali
Mai Ek Haath Se Dil Sambhale Huye Tha,
To Thi Doosre Haath me unki Jaali,
Dua Ke Liye Haath Uthte To Kaise
Dua Ke Liye Haath Uthte To Kaise
Na Yeh Haath Khaali Na Woh Haath Khaali
Jo Poocha Kisi Ne Ke Tum Nazr Karne
Ko Kya Le Gaya Tha To Tafseel Sun Lo,
Tha Naaton Ka Ek Haar Ashkon Ke Moti,
Duroodon Ka Gajra, Salaamon Ki Daali
Tha Naaton Ka Ek Haar Ashkon Ke Moti,
Duroodon Ka Gajra, Salaamon Ki Daali
Yahaan pyaara Kaaba, Wahaan Sabz Gumbad
Ye Makkah bhi meetha to pyaara Madina
Ye Makkah bhi meetha to pyaara Madina
Khuda gar qayamat me farmaye maango
lagaayenge deewane naara Madina
Rage gul ki jab naazuki dekhta hoon
Mujhe yaad aate hai khaar-e-Madina
Mujhe yaad aate hai khaar-e-Madina
Muraade dil bulbule be nawaa de
Khudaya dikha de bahaare Madina
Khudaya dikha de bahaare Madina
Jidhar dekhiye baage jannat khula hai
Nazar may hai naqsh o nigaar e Madina
Nazar may hai naqsh o nigaar e Madina
Sharaf jinse haasil hua Ambiya ko
Wahi hai Hassan iftekhaar e Madina.
Wahi hai Hassan iftekhaar e Madina.