Lab Pe Naat-e-Paak Ka Nagma
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Mere Nabi Se Mera Rishta
Mere Nabi Se Mera Rishta
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Aur Kisi Jaanib Kyun Jayein
Aur Kisi Ko Kyun Dekhein
Apna Sab Kuch Gumbad-e-Khazra
Apna Sab Kuch Gumbad-e-Khazra
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Past Woh Kaise Ho Sakta Hai
Jis Ko Haq Ne Buland Kiya
Dono Jahan Mein Unka Charcha
Dono Jahan Mein Unka Charcha
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Jis Ke Faiz Se Banjar Seeno
Ne Shadabi Paayi Hai
Mauj Mein Woh Rehmat Ka Darya
Mauj Mein Woh Rehmat Ka Darya
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Batlaado Har Dushman-e-Deen Ko
Ghairat-e-Muslim Zinda Hai
Deen Pe Mar Mitne Ka Jazba
Deen Pe Mar Mitne Ka Jazba
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Jin Aankhon Se Taiba Dekha
Woh Ankhein Betaab Hai Phir
In Aankhon Mein Ek Taqaaza
In Aankhon Mein Ek Taqaaza
Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai.