Lutf unka aam ho hi jaayega
Shaad har nakaam ho hi jaayega
Shaad har nakaam ho hi jaayega
Jaan dedo wa’daye deedar par
Naqd apna daam ho hi jaayega
Naqd apna daam ho hi jaayega
Shaad hai firdaus ya’ani ek din
Qismate khuddam ho hi jaayega
Qismate khuddam ho hi jaayega
Yaad reh jaayegi ye bebaakiyan
Nafs tu to raam ho hi jaayega
Nafs tu to raam ho hi jaayega
Be nishaanon ka nishaan mita nahi
Mit te mit te naam ho hi jaayega
Mit te mit te naam ho hi jaayega
Yaad gesu zikre haq hai aah kar
Dil me paida laam ho hi jaayega
Dil me paida laam ho hi jaayega
Ek din aawaaz badlenge ye saaz
Chehchaha kohraam ho hi jaayega
Chehchaha kohraam ho hi jaayega
Saailo! daaman sakhi ka thaam lo
Kuch na kuch inaam ho hi jaayega
Kuch na kuch inaam ho hi jaayega
Yaade abru kar ke tadpo bulbulo
Tukde tukde daam ho hi jaayega
Tukde tukde daam ho hi jaayega
Mufliso! unki gali me jaa pado
Baaghe khuld ikraam ho hi jaayega
Baaghe khuld ikraam ho hi jaayega
Gar yunhi rehmat ki taawile rahi
Madha har ilzaam ho hi jaayega
Madha har ilzaam ho hi jaayega
Baada khwari ka samaa bandhne to do
Shaykh durs aashaam ho hi jaayega
Shaykh durs aashaam ho hi jaayega
Gham to unko bhoolkar lipta hai yu
Jaise apna kaam ho hi jaayega
Jaise apna kaam ho hi jaayega
Mit! ki gar yunhi raha karze hayaat
Jaan ka nilaam ho hi jaayega
Jaan ka nilaam ho hi jaayega
Aaqilo! unki nazar seedhi rahe
Boro(n) ka bhi kaam ho hi jaayega
Boro(n) ka bhi kaam ho hi jaayega
Ab to laayi hai shafa’at afwa par
Badhte badhte aam ho hi jaayega
Badhte badhte aam ho hi jaayega
Aye Raza har kaam ka ik waqt hai
Dil ko bhi aaram ho hi jaayega.