Karam Hi Karam Hai Karam Hi Karam Hai
Karam Hi Ke Sadqey Se Qaayam Bharam Hai
Mere Dil Shikasta Ki Aahain Suno Tum
Tumhare Hi Rab Ki Tumhein Ab Qasam Hai
Baras Jaayain Chitain Mite Dil Ke Dhabbe
Tumhare Tasarruf Me Abr e Karam Hai
Kahoon Kis Se Jaa Kar Main Gham Ki Kahaani
Mere Roobaroo Aap Hi Ka Haram Hai
Mujhe Apne Dar Par Bulaate Hi Rehna
Tumhaari Hi ‘Aadat To Jood o Karam Hai
Gunaahon Me Dooba Hai Shakir Bechaara
Nibhaate Ho Phir Bhi Yeh Shaan e Karam Hai
Shafa’at Ka Saa-il Hai Shakir Tumhara
Siwa Kaun Tere Shafee’ e Umam Hai