Tum ko mai kya batau Taiba nagar me kya hai
Bakhshish karam ataa hai har dard ki dawa hai
Mangta ka haat uthne se pehle hi diya hai
Jo manga maine unse us se siwa mila hai
Manzaara qabri us par waajib meri shafa’at
Muzda yeh Mustafa ne kya khoob hi diya hai
Taiba ki har gali me khusboo basi hai unki
Har ek gul yaha ka dulha bana huwa hai
Baadal umad ke aaye jal thul huwa Madina
Rehmat ka ek ishara Aaqa ne jab diya hai
Hai Qiblatain me woh ulfat ka raaz wallah
Qibla wahi hai jisme mehboob ki raza hai
Qadmain me joh baitha khudse hi poochta hai
Jannat yeh gar nahi hai batlao aur kya hai
Sarkar fir bulana jaisa bhi hu nibhana
Yeh aaj Waqt e Rukhsat Rizwan ki duwa hai