Madine ke zaair salaam unse kehna
Tadapte hai tere ghulaam unse kehna
Ho jab saamne Sabz Gumbad tumhare
Nigahe aqeedat se Daaman pasaare
Hai haazir tumhara ghulaam unse kehna
Madina ke zaair salaam unse kehna
Badi chahato se hai is dar ko paaya
Pada hi rahu dar na choote tumhara
Na jaunga ab tishna kaam unse kehna
Madine ke zaair salaam unse kehna
Fire ab talak Dar ba Dar be sahare
Kaha jaaye hum apni dil ki sunane
Tumhi to banate ho kaam unse kehna
Madine ke zaair salaam unse kehna
Isi aarzoo me guzarte rahe din
Ki pahuche Dayaar e Nabi hum bhi lekin Nahi hai koi intezaam unse kehna
Madine ke zaair salaam unse kehna
Dikha do Mujh ko bhi dil kash nazare Taraste hai jisko musalmaan saare
Yeh baate ba sad ehtiram unse kehna
Madine ke zaair salaam unse kehna