Imaam-ul-Ambiya tum ho Rasool-e-Mujtaba tum ho,
Jo sab ke peshwa hain unke Aaqa peshwa tum ho.
Haqeeqat aap ki samjhe to kya samjhe khirad wale,
Khuda wale yeh kehte hai Khuda jaane ke kya tum ho.
Tumhari waaqae tauseef hum se gair mumkin hai,
Ke hum jo kuch kahen usse haqeeqat mein siwa tum ho.
Khuda deta hai tum taqseem karte ho zamane ko,
Miyan-e-khaliq-o-makhlooq mohkam waasta tum ho.
Mujhe parwah nahi maujein uthain tufaan aa jaaye,
Shakista hai agar kashti to gham kya Na-khuda tum ho.
Woh Kaaba hai jahaan sar jukh rahe hain ahle aalam ke,
Magar Kaaba bhi jiske samne khum ho gaya tum ho.
Dil-E-Tehseen Se Gham Ki Ghatain Chat Gaee Aqaa
Suna hai jab se usne shafa’e roze jaza tum ho.