Hawa Ki Khushbu Bata Rahi Hai
Woh Zulf Apni Sajaa Rahe Hain
Sawaari Taiba Se Chal Padi Hai
Sawaari Taiba Se Chal Padi Hai
Huzoor Tashreef Laa Rahe Hain
Kahi Pe Mehfil Hai Mehkasho Ki
Kahi Pe Mehfil Hai Dil Jalo Ki
Ye Kitne Khushbakht Hain Jo
Ye Kitne Khushbakht Hain Jo
Nabi Ki Mehfil Sajaa Rahe Hain
Na Paas Bhi Ho To Soona Saawan
Woh Jis Pe Raazi Wohi Suhaagan
Jinho Ne Pakda Nabi Ka Daaman
Jinho Ne Pakda Nabi Ka Daaman
Unhi Ke Ghar Jagmagaa Rahe Hain
Habeebe Daawar Ghareeb Parwar
Rasoole Akram Karam Ke Paikar
Kisi Ko Dar Pe Bula Rahe Hain
Kisi Ko Dar Pe Bula Rahe Hain
Kisi Ke Khawaabo Me Aa Rahe Hain
Mai Apni Khairul Waraa Ke Sadqe
Mai Unki Shaane Ata Ke Sadqe
Bhara Hai Aibo Se Mere Daaman
Bhara Hai Aibo Se Mere Daaman
Huzoor Phir Bhi Nibha Rahe Hain
Banega Jaane Ka Phir Bahaana
Kahega Aakar Koi Deewaana
Chalo Niyaazi Chale Madine
Chalo Niyaazi Chale Madine
Madine Waale Bula Rahe Hain